• hamara ye tum ko salaam aakhri


    Hamara ye tum ko salaam aakhri hai
    Suno aj tum se kalaam aakhri hai
    Agar ho sake to bhula dena hum ko
    Yehi ek chhota sa kaam aakhri hai
    Abhi aarzuon k sehra pyase hain
    Magar aansuon ka ye jaam aakhri hai
    Teri bewafaye ka shikwa aakhri hai
    Yehi to wafaon ka inaam aakhri hai
    Mariz-e-mohabbat ki aye chaara sazo
    Tumhare shehar me ye shaam aakhri hai
    Zara dair thehro qazaa k farishto
    Labon pe hamara payaam aakhri hai
    Koi mil sake ga na Hasrat k jesa
    Teri adaon ka ye ghulam aakhri hai


    No comments:

    Post a Comment