• Parveen Shakir Urdu Ghazal!

    Parveen Shakir Urdu Ghazal!

    Saza pe chor diya kuch jaza pe chor diya!
    Har aik kam ko ma ne Khuda pe chor Diya

    Wo Mujh ko yaad rakhega ya phir Bhula dega
    Usi ka kam tha us ki raza pe chor Diya!!!!!!!

    Ab us ki marzi bujha de ya phir jala rakhe
    Chiragh ham ne jala kar hawa pe chor Diya

    Ab us se bat bhi karte tu kis tarah kartey!
    Ya masla ana ka tha, Ana pe Chor Diya

    Isi ley tu wo kehty hain bewafa mujh ko
    Ka main ne sara zamana wafa pe Chor Diya

    No comments:

    Post a Comment